Syedi Aala Hazrat RadiAllahu Anh Par Ek Ilzaam Ki Haqeeqat


Syedi Aala Hazrat RadiAllahu Anh Par Ek Ilzaam Ki Haqeeqat Az: Abdul Mustafa Razavi
====================================================
===========
Wahabi/Deobandi Aksar Aala Hazrat Imam e Ahle Sunnat Maulana Shah Ahmed Raza Khan RadiAllahu Anh Par Ek Aitaraz Karte Hain Ke Unhone Apne Malfoozat Men "Abdur Rahman Qari" Naami Ek Sahabi Ko Kaafir Kaha Hai (MuaazAllah). Waise To Ulama e Ahle Sunnat Ne Is Ilzaam Ka Jawaab Kaee Baar Diya Hai, Magar Choonke Wahabiyon Or Deobandiyon Men Sharam Or Haya Naam Ki Koi Cheez Nahi Hai, Lehaza Wo Kuchh Saal Ke Bad Phir Wohi Ghise Pite Aitaraz Utha Kar Musalamanon Ko Gumraah Karne Ki Koshish Karte Hain. Is Ilzaam Ki Haqeeqat Kia Hai, Mulahiza Farmaaen:
===============================================================

Al-Malfooz Part 2 Men Aala Hazrat Ne Ek Waaqia Yun Bayan Farmaya Hai Ke: "Ek baar Abdur Rehman Fuzari -Ke Kaafir Tha- Apne Hamrahiyon Ke Saath Huzoor e Aqdas Sal Lal Laho Alaihi Wasallam Ke Outon Par Aa Pada, Charane Waale Ko Qatal Kiya Or Ount Le Gaya. Hazrat Salamah RadiAllahu Anh Naami Sahabi Ne Uska Peechha Kiya Or Doosre Roz Hazrat Abu Qatadah RadiAllahu Anh Ne Doosre Sahabiyon Ko Saath Le Ja Kar Us Kaafir Ko Qatal Kiya. Ye Waaqia Kaee Kitabon Jaise

1. Tabqaat Ibn e Saad (Jild 3, Page:81-82)
2. Al-Sira Al-Nabawiyya Az: Ibn Kathir (Jild 3, Page 186)
3. Tareekh al Kamil Az: Ibn e Aseer (Page 190-191)
4. Aini Shirah Bukhari (Jild 7, Page 233)

Men Mojood Hai.


Aitaraaz Ki Wajah Kia Hai??????

Aala Hazrat Ke Malfoozat Aap Ke Chhote Shehzade Tajidaar e Ahle Sunnat Mufti e Aazam e Aalam e Islam Shah Muhammad Mustafa Raza Khan Qadiri Barakai Noori RadiAllahu Anh Ne Jama' Kiye The. Phir Asl Nuskhe Se Kaee Nuskhe Naql Kiye Gae. Is Dauran Naql Karne Waale Ne Oopar Waale Bayan Kiye Gae Waqi'e Men "Abdur Rehman Fuzari" Ki Jagah "Abdur Rehman Qari" Likh Diya. Jab Pahli Martaba Al-Malfooz Chhapwaya Jaane Laga, To Tab Huzoor Mufti e Aazam Ka Likha Gaya Nuskha Na Mil Saka Or Copy Kiye Gae Nuskhe Se Hi Chhapaee Ki Gaee. Lehaza Is Ghalati Ko Buniyad Bana Kar Wahabiyon/Deobandiyon Ne Ye Aitaraaz Kiya. Halanke "Abdur Rehman Qari" Naami Koi Sahabi Tha Hi Nahi, Magar Phir Bhi Wahabiyon/Deobandiyon Ne Apni Jahaalat Ka Saboot Dete Hue, Ye Aitaraaz Kiya.

Agar Aap Aala Hazrat Ke Bayan Kiye Gae Waaqi'e Ko Ghaur Se Padhenge To Aap Ko Us Men Ye Wazahaten Milengi:


a. Abdur Rehman Ne Apne Sathiyon Ke Saath Aa Kar Huzoor e Aqda Sal Lal Laho Alaihi Wasallam Ke Outon Pe Hamla Kiya.
b. Un Ounton Ke Charwaahe Ko Bhi Qatal Kiya.
c. Usne Pyaare Aaqa Alaihis Salaam Ke Ount Bhi Churaae
d. Hazrat Salamah Bin Akwa' RadiAllahu Anh Ne Uska Or Uske Saathiyon Ka Tuaaqib Kiya.
e. Or Agle Din Hazrat Abu Qatadah RadiAllahu Anh Ne Usko Qatal Kar Dala.


Un Tamam Baaton Ko Zehn Men Rakh Kar Har Zi Shaoor Or Diyanatdar Musalman In Sawalon Ka Jawab De:

i. Kia Koi Sahabi Apne Sathiyon Ke Saath Aa Kar Huzoor e Aqdas Sal Lal Laho Alaihi Wasallam Ke Outon Pe Hamla Kar Sakta Hai???
ii. Kia Koi Sahabi Huzoor e Aqdas Sal Lal Laho Alaihi Wasallam Ke Outon Ke Charwaahe Ko Qatal Kar Sakta Hai?
iii. Kia Koi Sahabi Pyaare Aaqa Alaihis Salaam Ke Ount Churaa Sakta Hai?
iv. Kia Kissi Sahabi Ka Hazrat Salamah Bin Akwa' RadiAllahu Anh Tuaaqib Kar Sakte Hain???
v. Or Kia Kissi Sahabi Ko Hazrat Abu Qatadah RadiAllahu Anh Qatal Kar Sakte Hain?

Mamuli Samajh Rakhne Wala Musalman Ka Bhi In Sawalon Ka Jawaab Nafi Men Hoga. To Phir Yaqeenan Aala Hazrat Ne Jis Abdur Rehman Ka Zikr Kiya Hai, Wo Allah Ta'ala Or Uske Habeeb AlaihisSalaam Ka SAkht Dushman Or Badtareen Kaafir Tha. Magar Wahabi/Deobandi "Ahle Sunnat Wa Jamaat" Ki Duhsmani Men Aise Khabees Shakhs Ko Bhi Sahabi Kah Rahe Hain. Agar Inke Nazdeek Aisa Shakhs (Jis Ne Pyaare Aaqa AlaihisSalam Ke Outon Ke Charwahe Ko Qatal Kar Ke, Aap Ke Ount Churaae. Or Sahabi Ke Hathon Waasil Jahannum Bana) Bhi "Sahabi" Hai, To Wo Din Bhi Door Nahi Jab Ye Utbah, Shaibah Or Waleed Jaise Shayateen Ko Bhi Sahabiyon Men Shumaar Karne Lagen, Or Inke Liye Ye Koi Badi Baa Bhi Nahi Hogi, Kiyun Ke Unke Haan To

a) Jo Allah Ko Jhoota Kahe, Wo Bhi Qutub ul Aqtaab
b) Jo Huzoor Ke Ilm Ko Shaitan Laeen Se Kam Batae, Wo Bhi Ghaus ul Aazam
c) Khatam e Nabbuwat Ka Munkir Ho, Wo Bhi Qasim ul Ulmoom Ot Hujjat ul Islam
d) Or Jo Huzoor Ke Ilm Ko Janwaron Se Tashbeeh De, Wo Bhi Hakeem ul Ummat Or Mujaddid e Millat.

To Phir Agar Inhone Ne Ek Chor, Daaku Or Allah o Uske Habeeb Ke Dushman Ko Sahabi Kahdiya To Is Par Kaunsi Ta'jub Ki Baat Hai?
===============================================================


Wahabiyon/Deobaniyon Se Sawalaat:

1. Abdur Rehman Qari Naami Jis Sahabi Ka Tum Logon Ne Zikr Kiya Hai, Us Sahabi Ka Zikr Kis Kitaab Men Hai???

2. Uski Paidaish Or Wafaat Kab Hui? Neez Woh Kab Islaam Se Musharaf Huwa?


Koi Bhi Wahabi Deobandi In Sawalaat Ke Jawaabat Ta Qayamat Nahi De Paaega, Kiyun Ke Is Naam Ka Koi Sahabi Tha Hi Nahi. Albata Abdur Rehman Bin Abd Al-Qari Naami Ek Tabaee Zaroor Hai, Jaisa Ke Imam Ibn e Hajar Asqalani RadiAllahu Anh Likhte Hain Ke:

"Abdur Rehman Bin Abd Al-Qari Ke Baare Men Ba'z Ka Kahna Hai Ke Use Huzoor AlaihisSalaam Ki Ziyarat Hui Thi, Lekin Ijli (AlaiheRehma) Ne Usko Mazboot (Haafize Waale) Tabaeen Men Shumaar Kiya Hai." (Taqreeb Al-Tehzeeb, Page: 206)

Yunhi Allama Shaikh Wali ud Din Tabrezi Ne Bhi Abdur Rehman Bin Abd Al-Qari Ko Madeenah Shareef Ke Tabaeen Men Shumaar Kiya Hai.
===============================================================

Ghalati Ka Izalah:

Choonkeh Ye Baat Oopar Batadi Gaee Hai Ke Kaatib Ne Ghalati Se "Abdur Rehman Fuzari" Ko "Abdur Rehman Qaari" Likhdiya, Or India Se Chhapne Wale "Al-Malfooz" Ke Pahle Edition Men Ye Ghalati Mojood Thi. Lekin Doosre Eidition (Jo ke 1380 AH, 1960 AD Men Kanpur India Se Chhapa ) Men Ye Ghalati Theek Karli Gaee (Yane "Qari" Ki Jagah "Fuzari" Likha Gaya) Or Hashiyah Men Batadiya Gaya Ke Pahle Edition Men Ghalati Ki Wajah Se Aisa Huwa.

Lehaza Saabit Huwa Ke Ye Aala Hazrat RadiAllahu Anh Par Ye Ilzaam Or Aitaraaz -Ke Unhone Kissi Sahabi Ko Kaafir Kaha- Bebuniyad Or Ghalat Hai, Or Ye Wahabiyon/Deobandiyon Ki Jahalat Ka Saboot Hai; Kiyun Ke

a) Kaatib Ne Ghalati Se "Abdur Rehman Fuzari" Ko "Abdur Rehman Qaari" Likhdiya.

b) "Abdur Rehman Qari" Naami Koi Sahabi Huwa Hi Nahi. Albata "Abdur Rehman Bin Abd Al-Qari" Naami Ek Tabaee Zaroor Tha.

c) "Abdur Rehman Qari" Or "Abdur Rehman Bin Abd Al-Qari" 2 Mukhtalif Naam Hain, Inko Ek Kahna Bewaqufi Or Jahalat Hai.

d) Doosre Edition Men Ghalati Ko Theek Kar Ke Uski Wazahat Ki Gaee.
===============================================================

Aala Hazrat Par Aitaraz Karne Waale Deobandi Shayad Apne Ghar Ki Khabar Lena Bhool Gae Ke Unke Qutub ul Aqtaab Rasheed Ahmed Gangoohi Se Jab Sawal Huwa Ke:

Sawal: Sahaba Par Ta'an Karne Wala Or (Unko) Mardood Kahne Wala Sunnat Jamaat Se Kharij Hoga Ke Nahi?

To Rasheed Ahmed Gangoohi Sahab Ne Jawab Diya Ke "Wo Apne Kabeerah Gunah Ke Sabab Sunnat Jamaat Se Faarigh Nahi Hoga.(Fatawah e Rasheediyah, ild 2, Page: 141)

Younhi Deobandi Beemar Umat Ke Hakeem ul Umat Asharf Ali Thanvi Kahta Hai Ke "Agar Koi Aadmi Hazrat Abu Bakar Siddique RadiAllahu Anh Ya HazratUmar Farooque RadiAllahu Anh Ko Khuwab Men Dekhe To Unki Soorat Men Shaitan Bhi Aa Sakta Hai." (Afazat Yomiyah, Jild:6, Page:182)

Musalmano..! Dekh Lo, Inke Nazdeek Sahaba Ko Bura Bhala Kahne Wala Bhi Kaafir Nahi, Or Inke Qalam Or Zaban Se Shaikhain Kareemain Ki Izat Bhi Mahfooz Nahi. Iske Bawajood Ye Khud Ko Deen Ke Thekedaar Samajh Kar Tamam Musalmanon Ko Bid'ati Or Mushrik Kahte Hain. Sharam Inko Magar Aati Nahi.

Pyaare Aaqa AlaihisSalaam Ka Farmaan Hai Ke: "Mere Sahabah Ke Mutaliq Allah Se Daro, Allah Se Daro. Mere Sahabah Ke Mutaliq Allah Se Daro, Allah Se Daro.Mere Bad Unhen Nishanah Na Banana Kiyun Ke Jis Ne Unse Muhabbat Ki To Meri Muhabbat Ki Wajah Se Un Se Muhababt Ki Or Jis Ne Unse Bughz Rakha To Mere Bughz Ki Wajah Se Unse Bughz Rakha (Yane Mere Sahabah Se Bughz Mujhse Bughz Hai To Uske Bar Aks Sahabah Se Muhabbat Mujh Se Muhabbat Hai) Or Jis Ne Unhen Eiza Di, Usne Mujhe Eiza Di Or Jis Ne Mujhe Eiza Di, Usne Allah Ko Eiza Di Or Jis Ne Allah Ko Eiza Di To Qareeb Hai Ke Allah Use Pakde." (Mishkat)

Hazrat Imam Maalik RadiAllahu Anh Farmaate Hain Ke Sahaba Ko Bura Kahne Wala Qatal Ka Mustahiq Hai Ke Uska Ye Amal Adaawat e Rasool AlaihisSalam Ki Daleel Hai. (Mirqat al-Mafatih Sharh Mishkat al-Masabih Az: Allama Mulla Ali al-Qari Muhaddis RadiAllahu Anh)

Allah Tamam Musalmanon Ko Inke Shar Se Mahfooz Farmaae. Aameen

Loading
Facebook Delicious Digg Stumbleupon Favorites More

 
Site Best Viewed in Google Chrome, Mozilla Firefox and Internet Explorer