Sooraj ulthe paaw palthe chaand ishaare se ho chaak Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki


Huzur-e-Akdas (Sallallahu Ta`ala Alayhe Wassallam) ke “Aasmani Mujizzat” me `Suraj` palat aane ka Mujizza bhi bohot hi Azim-us-shan Mujizza aur Sadakat-e-Nabuwwat ka ek Behtarin nishan hai.

Iska waqiya ye hai ke HAZRAT BIBI ASMA BINTE UMAIS (Radi Allahu Ta`ala Anha) ka bayan hai ki, KHAIBAR ke karib MANZILE SAHBA me HUZUR E AKRAM (Sallallahu Ta`ala Alayhe Wassallam) NAMAZE ASHR padhkar HAZRAT ALI (Radi Allahu Ta`ala Anhu) ki Goud me apna Sar-e-Akdas rakh kar so gaye aur AAP (Sallallahu Ta`ala Alayhe Wassallam) par WAHI naazil hone lagi. Hazrat Ali (Radi Allahu Taala Anhu) Sar-e-Akdas ko apni aagos me liye biathe rahe yahan tak ke unki namaz-e-ashr Qaza ho gayi. Jab wahi khatm hui aur Aap (Sallahu Ta`ala Alaye Wassallam) ne Apna Sar Mubarak uthaya aur apko ye malum hua ke Hazrat Ali (Radi Allahu Ta`ala Anhu) ki Ashr ki namaz kaza ho gayi to Nabi e Kareem (Sallallahu Ta`ala Alayhe Wassallam) ne Dua farmayi ki, “ Ya Allah! Yakinan Ali tere aur tere Rasool ki Ita`at me the. Lihaza tu Suraj ko wapas lauta de taaki Ali namaze ashr ADA kar le.” 

Hazrat Bibi Asma Binte Umais (Radi Allahu Ta`ala Anha) kehti hai ke maine apni aankhon se dekha ki duba hua Suraj palat aaya aur pahado ki chotiyon par aur zameen par har taraf dhoop phail gayi. [(Zurkani, J-5, S- 113), (Shifa, J-1, S-185), aur (Madarijun Nubuwwah, J-2, S-257)].-.-.-.-.-.-.-.-.-.Isme koi shaq nahi ke Bukhari Shareef ki Rivayaton me iss Moujiza ka zikr nahi hai,magar ye yaad rakhiye ke Bukhari Shareef me na hona is baat ki daleel nahi hai ke wo Hadees-e-paak bilkul beasl hai. Imam Bukhari (Rehmat Allah Ta`ala Alayhe) ko Che(6)- lakh Hadees-e-paak zabani yaad thi, un hi Hadees e paak me se chun kar unhone Bukhari Shareef me agar MUKARARAT MUTASABIAT ko shaamil karke ginti ki jaaye to sirf Nau Hazar Bayasi (9082) Hadeesein likhi hai. Aur agar Mukararat aur Mutasabiaat ko nikal kar ginti ki jaaye to Hadeeson ki taadad kuch Do hazar saat so iksath (2761) rah jaati hai. (Mukkadama Fathul Baari)Baaki Hadeesen jo Hazrat Imam Bukhari ko zabani yaad thi zaahir hai ke Beasl aur Muozu na hongi balke wah bhi yakinan Shahih ya Hasan hi hongi, to aakhir wo sab Hadees-e-Paak kahan hai? Aur kya hui? To is bare me yeh kehna hi padega ke Dusre Muhaddesen ne inhi Hadeeson ko apni-apni kitabo me likha hoga. Chunanche Manzile Sabha me Hazrat Ali ki Namaze Ashr ke liye Suraj palat aane ki Hadees e Paak ko bohot saare Muhaddesen ne apni-apni kitabon me likha hai jaisa ki Hazrat Shaykh Muhaddis Abdul Haq Dehalvi (Rehmat Allah Ta`ala Alayhe) ne farmaya ke Imam Jaafar Tahawi, Ahmad bin Saleh, Imam Tabrani aur Kazi Ayaz ne is Hadees ko apni-apni kitabo me tahrir farmaya hai aur Imam Tahavi ne to ye bhi tahrir farmaya hai ki Imam Ahmad bin Saleh jo ke Imam Ahmad bin Hambal ke Hampalla hai, farmaya karte the ki ye Rivayat Azeem-tareen Mujizza aur Alamat e Nabuwwat hai lihaza ise yaad karne me Ahle Ilm ko na piche rehna chahiye na gaflat baratni chahiye. (Madarijun Nubuwwah, J-2, S-254)

.-.-.-.-.-.-.-.-.Baharhaal jin-jin Muhadesen ne is Hadees e paak ko apni kitabo me likha hai uski ek MUKHTASAR fehrist (list) ye hai.1) Hazrat Imam Abu Jafar Tahawi ne Mushkilul Aasar me2) Hazrat Imam Haakim ne Mustadrak me3) Hazrat Imam Tabrani ne Muajam-e-Kabeer me4) Hazrat Haafiz Ibn-e-maradvya ne apni Murayyat me5) Hazrat Hafiz Abul Bashar ne Al-zariyatut-tahira me6) Hazrat Qazi Ayaz ne Shifa Sharif me7) Hazrat Khatib Baghdadi ne Talkhisul Mutsabah me Hazrat Hafiz Mughaltai ne Al-Juhral baasim me9) Hazrat Allama Aini ne Umdatul Qari me10) Hazrat Allama Jallauddin Suyuti ne Kashful Labs me11) Hszrat Allama Ibn-e-Yusuf Damishki ne Majlisul Labs me12) Hazrat Shar Waliullah Muhadis Dehalvi ne Ilajatul khifa me13) Hazrat Shayakh Abdul Haq Muhadis Dehalvi ne Madarijun Nubuwah me14) Hazrat Allama Muhammad bin Abdul baaki ne Zurkani Alal mawahib me15) Hazrat Allama kastlani ne Mavahide laddunia me..-.-.-.-.-.-.-.-Is Hadees par Allama Ibn-e-Jauzi ne apni aadat ke muwafik jo jirahe ki hai aur is Hadees ko Mouzu karar diya ha. Hazrat Allama Aini ne Umdatul Qari, J-7, S-146 me tahrir farmaya hai ke Allama Ibn-e-Jauzi ki jirahe kabile Iltifaat nahi hai. Hazrat imam Abu Jaafar Tahawi ne is Hadees ki sanad likh kar farmaya ki, “ye dono rivayate saabit hai. Aur inke rave Sika hai. (Shifa Shareef, j-1, s-185)

Isi tarah Hazart Abdul Haq Muhadis Dehalwi ne bhi Allama Ibn-e-Jauzi ki jiraho ko radd kar diya hai aur is Hadees ko sahi aur hasan hone ki purzor taed farmayi hai. (Madarijun Nubuwah j-2, s-254)


Isi tarah Allama Muhammad bin Yusuf Damishki ki kitab “Majlisul labs an Raddishams” ki yeh ibarat mankul hai ki:- “ Tum jaan lo ki is Hadees ko Imam Tahawi ne apni kitab “Sarah Mushkilul Ashar” me Hazrat-e Asma binte Umais se do sanado ke saath rivayat kiya hai aur farmaya ki ye dono hadeesein saabit haim ur yeh dono ke rivayat karne wale SIKA hai. Aur Hadees ko Hazrat Qazi Ayaz ne “Sifa” me aur Hafiz ibn-e-SaiyyedunNas ne “basarul Labib” me aur Hafiz Allauddin Mugaltai ne apni kitab “Al Jahrul Baasim” me nakal kiya hai. Aur Abul fatah Azdi ne is Hadees ko Sahi bataya. Aur Abu Jurua Iraqi ne is Hadees ko sahi bataya hai aur hamare Shaykh Jallalluddin Suyuti ne “Ad Daraul Muntashira fil ahadees mustahira” me is hadees ko Hasan bataya hai. Aur Hafiz Ahmad bin Saleh ne farmaya ke tumko yahi kafi hai aur ulma ko is Hadees se peeche nahi rehna chahiye, kyuke ye Nabuwwat ke bahut bade Muajizzat me se hai. Aur is hadees ke huffaz ne is baat ko bura mana hai ke “Ibn e Jauzi” ne is Hadees ko apni kitabul mouzuaat me zikr kiya hai..-.-.-.-.-.-.-.-

(kitab “Siratul Mustafa (Sallallahu Alayhe Wassallam), lekhak: Hazrat Allama Abdul Mustafa sahib aazmi mujaddidi, Baab:20 (Muajizate Nubuwaat), Safa: 577 – 579).@.@.@.@.@.@.@.@




*****************************************************************
Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki
 Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki 

Qabr me lehraa-e-ge tha Hasr chashme noor ke
 Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki 

Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
 Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki 

Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
 Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki 

Sooraj ulthe paaw palthe chaand ishaare se ho chaak 
Undhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki 

Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi door ho 
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki 

Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fizoo
 Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki 

Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool
 Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki 

Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund
 Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki 

Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm
 Josh par aajaaye ab Rehmat Rasoolullah ki 

Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor
 Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki 

(Sallallahu alahi wa Sallam) 

Loading
Facebook Delicious Digg Stumbleupon Favorites More

 
Site Best Viewed in Google Chrome, Mozilla Firefox and Internet Explorer